Sunday, 15 September 2013

It's not always about the puns. Me be writing Hindi poems yo!

 Accha Lagta hai.

Main sapne sajaya karta tha. 
Khuli ankhon se unhe dekha karta tha..
aaj dusro ke sapno mein kuch apna lagta hai..
Unhe poora karna Achcha lagta hai.

Main dusro par hasa karta tha...
mazak udaya karta tha...
aaj unhe hasane mein kuch apna lagta hai..
Unhe hasta dekh Achcha lagta hai.

Main dusro ke aansuon ka mol na samjha karta tha...
unhe bekar samjha karta tha...
aaj un aansuon mein kuch apna lagta hai...
Unhe ponchna Achcha lagta hai.
.
Main gareebo ko dutkara karta tha...
Khud se dur bhagaya karta tha...
aaj unke sath baithne mein kuch apna lagta hai..
Unse 2 meethi baatein karna Achcha lagta hai.

No comments:

Post a Comment